Aaj Mein Aap sabko ke Horror Story In Hindi Batane wala hu aapne aaj se pehle bahut si bhutiyan locations ke bare me suna hoga . India Jaise Desh mein jahan logon ki dharmik astha bahut jyada hoti hai wahan choti si choti cheezon me ya to bhagwan ka naam diya jata hai nahi to shaitan ka . Aapne bahut si Haunted laces in India ke bare me suna hoga bahut se logo ne sayad dekha ya experience bhi kiya hoga . Aaj hamari team Janhit Jankari ne koshish ki janta tak ek sachha anubhav bataya jaye . Kyunki bahut log sirf logo ki battein sun kar jagah ko bhutiya (Haunted ) maan lete hai .
Aaj Hum baat karne wale hai Lambi Dehar Mines ke bare mein ye Dehradhun se Massoorie ke beech me hai aisa kehte hai ye mines ek witch ke kabje me hai jo yaha ki jagah ka peecha kabhi nahi chod sakti . Aap sab ko ye sab ek kahani sa lag raha hoga par research ke according bahut se log bolte hai ki 20,000 majdoor (Labours) ek raat me mar gaye the and some think ye numbers 50,000 se jyada thi par ye sab ab tak kahani thi jo logo ne banai thi aise hi ek aur kahani thi jisme logon ka kehna tha ki raat me chodo agar din me bhi yahan se koi nikalta hai to logon ka accident ho jata hai or yeh baat bhi sach hai ki wahan aise bahut se accident hue bhi hai . Waha ke logon ka bahut atal vishwas hai ki wahan ki witch na is jagah ko chodegi na to is jagah ko basne degi .
Ab sawaal ye tha ki kya ye sab sach hai , kya sach me aisi koi witch hai . Iska jawaab to Massoorie me hi chupa hai . To bina waqt gawae chalte hai Massoorie .
Massoorie jate waqt pahadon se hat kar ek patla sa rasta hai jo Dehar Mines ki taraf le jata hai . Wahan upar ek administrative office hai jo mines ke andar jane ka raasta bhi hai . Yeh ek limestone mine hua karti thi . Shaam ke 5 baje me Waha pahucha or dheere dheere mines ki aur badh raha tha hawa me ek thandak si thi .
Jaise hi mein administrative building ke main gate ki taraf pahuncha mene dekha ki wahan do crow (kaue) ki deadbody padi hai theek gate ke samne mujhe laga ho sakta hai thand ki wajah se ya kisi aur wajah se inke sath aisa hua hoga .
Mene uspar jyada dhyaan nahi diya aur aage mines ki aur badhta raha mein chahta tha ki raat me wapas aane se pehle mein is jagah ko din ki roshni me hi dekh lun jisse mujhe raat me asaani ho par pata nahi kyun waha ki hawa mein hi ek aisi negativity si thi jo mujhe waha se bahar jane ko majboor kar raha thi , ho sakta hai uchai ke karan oxygen ki kami ke karan aisa ho par waha ajeeb si ek negativity si thi jo bahut jyada bechen kar rahi thi waha ki hawa me hi kuch aisa hai jo theek nahi hai .
Mene Puri mines ka naksha apne dimmag me bana liya aur waha se ek ghante ke baad me waha se chalta bana par jaise hi mein us building (administrative) ke pass pahucha achanak se meri nazar us jagah padi jahan crow pade the par waha se ek crow ki body gayab thi mene socha mein yahan ek ghante se hu na yaha koi janwar aaya na koi insaan phir mene socha sayad mene dhyan na diya aur koi janwar use waha se le gaya ho ye sochkar jaise hi mene apna pehla kadam waha se bahar ki taraf rakha . Tabhi mein kya dekhta hu ye jo doosre crow ki body waha padi thi usme kuch halchal hui mein us body ko dekh raha hu achanak se wo jor ki padpadhat ke sath uda or pass ki diwar ke pass jaa kar beth gaya or mene dekha uske sath us diwal par wo doosra crow bhi betha tha .
Mere man me sirf ek khayal aaya kya ye crow jinda the , kya ye marne ka natak kar rahe the hota hai kabhi kabhi kuch janwar marne ka natak karte hai yeh sochte hue jaise hi mein apni gadi ki taraf gaya mere dimaag me ek khayal aya ki birds me sirf ek hi species hoti hai dove jo ki aisa karti hai mene turant apna laptop nikala or puri authenticate sites se research kiya and mujhe pata chala there are none cases in which a crow have behaved like this . kabhi aapne dekha hai ki kaue (crow) aisa so rahe ho phir laga kya ye mere liye signal hai ki mein is jagah se jad se jad nikal jaun or yahan kabhi laut ke na aaun ya phir kuch aur........
0 Comments